Who knows ... I may be famous someday!

Monday, May 11, 2009

Ahawaan

========================================
Ahawaan
========================================

Naujawaan navyuvak, yeh hai samay chunao ka.
Utaar lena hai tujhe, mukhauta in netaon ka.

Jo maangte hai aaj tujhse mat tumhara bheekh mein.
Bhool jaayenge tujhe yeh kal hi ki tareekh mein.


Bhrashtachaari, durvichaari, paap inke ghor hai.
Maatrabhoomi ke looteere, yeh nirlajj chor hai.

Saintalis ke varsha tak, mai auron ke aadheen thi.
Meri garva-lalima ghulaami mein vileen thi.

Putra mere mar mitey, mili mujhe swatantrata.
Rakta baha kar kiya aarambha prajatantra ka.

Vartaman sthiti dekh, hriday mein vichaar hai.
Putron ka mere jo balidaan tha bekaar hai?

Mai aaj bhi daridra hoon, mai aaj bhi beemar hoon.
Nirakshar mai aaj bhi, mai aaj bhi lachaar hoon.

Kisaan apni bhoomi seechney mein asamarth hai.
"India Shining" ka jaane kaunsa yeh arth hai!

Hotelon mein goliyan, visphoton ki kataar hai.
Dharma ki bisaat pe, jalte jano hazaar hai.

Durdasha aseem, samay hai nahi vishram ka.
Naujawaan navyuvak, yeh hai samay matdaan ka.

Yuva shakti, josh naya sab tumhare paas hai.
Rashtra ka bhavishya tu, tujhpe mujhe vishwas hai.

Alasya-vash tu aaj yadi, ghar mein hi ruk jaayega.
Yeh desh apni durdasha ka mool tujh mein paayega.

Aa chun le putra is ghadi, sansad ke us sadasya ko.
Nishkapat udaar ho, hridaya mein jiske satya ho.

Tu chhod jaati dharma ko, bas yogyata pe dhyaan de.
Jo ho sadasya karmasheel, usko hi matdaan de.

Ek ek mat ko jod, samriddhi jutayenge.
Bin teri sahayata, asafalta paayenge.

Bhoomi ki kritagyata, yeh punya hai matdaan ka.
Naujawaan navyuak, yehi samay sangram ka!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home